Raah dekhi thi is din ki kabse,
Aage ke sapne saja rakhe the naajane kab se.
Bade utavle the yahaan se jaane ko ,
Zindagi ka agla padaav paane ko .
Par naa jane kyon ..Dil mein aaj kuch aur aata hai,
Waqt ko rokne ka jee chahta hai.
Jin baton ko lekar rote the Aaj un par hansi aati hai ,
Na jaane kyon aaj un palon ki yaad bahut aati hai .
Kaha karte the ..Badi mushkil se char saal seh gaya,
Par aaj kyon lagta hai ki kuch peeche reh gaya.
Na bhoolne wali kuch yaadein reh gayi,
Yaadien jo ab jeene ka sahara ban gayi.
Meri taang ab kaun kheencha karega ,
Sirf mera sir khane kaun mera peecha karega.
Jahaan 2000 ka hisaab nahin wahaan 2 rupay ke liye kaun ladega,
Kaun raat bhar saath jag kar padega ,
KAUN MERI gaadi mujse pooche bina lejayega ,
Kaun mere naye naye naam banayega.
Mein ab bina matlab kis se ladoonga,
Bina topic ke kisse faalto baat karoonga ,
Kaun fail hone par dilasa dilayega,
Kaun galti se number aane par gaaliyaan sunayega .
Tapri mein Chai kis ke saath piyoonga ,
Wo haseen pal ab kis ke saath jiyoonga,
Aise dost kahaan milenge Jo khai mein bhi dhakka de aayein,
Par fir tumhein bachane khud bhi kood jayein.
Mere gaano se pareshaan kaun hoga ,
Kabhi muje kisi ladki se baat karte dekh hairaan kaun hoga ,
Kaun kahega saale tere joke pe hansi nahin aai ,
Kaun peeche se bula ke kahega..aage dekh bhai .
Movies mein kiske saath dekhhonga,
Kis ke saath boring lectures jheloonga ,
Kere farzee certificates ko raddi kehne ki himmat kaun karega ,
Bina dare sachi rai dene ki himmat kaun karega.
Achanak bin matlab ke kisi ko bhi dekh kar paglon ki tarah hansna,
Na jaane ye fir kab hoga .
Doston ke liye professor se kab lad payenge ,
Kya hum ye fir kar payenge,
Raat ko 2 baje poha khane station kaun jayega ,
Tez gaadi chalane ki shart kaun lagayega .
Kaun muje mere kabiliyat par bharosa dilayega,
Aur jyada hawa mein udne par zameen pe layege ,
Meri khushi mein sach mein khush kaun hoga ,
Mere gam mein muj se jyada dukhi kaun hoga...
KEH DO DOSTON YE DOBAARA KAB HOGA
No comments:
Post a Comment